Woh jo usse me akhri baar mila,
ki kya mila tha aaj tk nipta chala,
woh jo mere samne meri trf se apne raste pe ghum ke gaya,
me jo tha us din,
us wqt,
us masusam mein,
us din ke baad me apne us hissa kabhi ni mila
-vinsh
Woh jo usse me akhri baar mila,
ki kya mila tha aaj tk nipta chala,
woh jo mere samne meri trf se apne raste pe ghum ke gaya,
me jo tha us din,
us wqt,
us masusam mein,
us din ke baad me apne us hissa kabhi ni mila
-vinsh
Tumhare sher mein
Tumse milne aya tha
Hr us jgh gaya tha
Jaha tumhare saath samaye bitaya tha
Tumhari sugndh se bhare un rasto mein
Poora sher ghoom rha tha
Mano jese tum saath ho
Mera mnn tumhare khayaal me jhoom rha tha
Hosh me waps aya
Toh yaad aya ek ajaan ko dhundh rha tha
Suraj ko dekha
Toh woh jalke dhl rha tha
Isi baat pr ek kash jalaya
Tumhari sungandh
Tumhari yaadin woh baatein
Us kash ke dhua me
Us din..
Mein Sb jala aya tha
- vinsh
Wrote this few days back, do lemme know in replies hw was it.
Kitabo me tujhe dudh raha tha
Hatho ki lakiro me tu na likhi thi
Panne or pandit bdl raha tha
Lekin teri meri kahani na mili thi
Kitabo me Kahaniya anek thi
Mgr meri nhi thi
Hatho me kaliya bahut ai
Mgr mere naam ki mehndi na ek thi
Samaye ke saath..
Kitabe khtm hojati hai
Hatho ki lakire dhl jati hai
Kisi or ki kitaab
Kisi or ke haath me chali jati hai
Smjh me mujhe na ati hai
Meri khani kyu adhuri reh jati hai...
Using this for the first time, idk yh kya hai lol
So jst trying this, so why not give you guys something interesting to read.
Arz kiya hai..
Agr zindagi me thoda araam hota
Toh mera naam
Tumhare naam ke saath hota
Thodi chen ki nind me bhi sojata
Agr un 6 ghnto me
Tumhara saya hota
Agr wqt ko thoda pkd skta
Toh bndh krke thrms me tumhare sang bitaye pal
Meri in yaado mein hamesha taza rakhta
Thodasa agr waps me ghum ho skta
Toh tumhare un khule balo ki gehrai me
Ghum hokar sunn hojata
Ab ghum hone ki baat ho rahi hai
Toh kyu na tumhari bachkani baato
Me hi ghum hojata
Mgr yh khayal mere wahi rok deta hu
Jaha se yh shuru hua the
" Agr " yh meri zindagi hoti
Toh kya bawal hojata..
- vinsh